yun aap jo aasuda-e-gham karte rahenge

yun aap jo aasuda-e-gham karte rahenge
hum dard-e-dil-o-jaan ko kam karte rahenge

samjhe the ki wo shikwe gile bhul gae hain
malum na tha dil pe raqam karte rahenge

rakkhenge tere gham ko zamane se chhupa kar
tanhai mein hum aankh ko nam karte rahenge

aazar pe aazar diye jaenge hans kar
har haal mein wo hum pe karam karte rahenge

kya apni haqiqat hai siwa teri ata ke
hum khud ko teri zat mein zam karte rahenge

jazbaat se mear se ya khun-e-jigar se
hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge

iman ki daulat hai kahin kufr ka ghalba
sab zikr-e-khuda zikr-e-sanam karte rahenge

haalat na badlen na sahi phir bhi ai 'mina'
koshish to magar ahl-e-qalam karte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close