tumhaare did ki hasrat bahut mushkil se niklegi dua ban kar shab-e-gham wo hamare dil se niklegi khabar kya thi ki teri kaj-adai se but-e-raana bisan-e-shama ro kar aarzu mahfil se niklegi tamanna rafta rafta rang kuchh dikhlaegi apna banegi nur-e-jaan aur dida-e-kaamil se niklegi bisan-e-nikhat-e-gul chhup nahin sakti chhupane se ye bu-e-khun-e-ashiq daman-e-qatil se niklegi nihan kya khak hogi hasrat-e-didar aashiq ki wo ek din yas ban kar dida-e-bismil se niklegi dikhaegi mohabbat ek din un ko asar apna samai dil mein jo un ke wo mere dil se niklegi tasawwur jaanib-e-dil chahiye majnun tujhe karna tu jis laila ka aashiq hai wo is mahmil se niklegi thahar ja naqa-e-dilbar ki main chumun qadam tere sada ye musht-e-khak-e-ashiq-e-be-dil se niklegi zaban se nala-o-fariyaad karna hai abas tera 'jamila' wo dua kaam aaegi jo dil se niklegi