tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki sari latafaten hain jawan hai suraj jabin pe jis ke tumhaare mathe ki raushni hai sahar hasin hai ki us ke rukh par tumhaare rukh ki sabahaten hain main jin bahaaron ki parwarish kar raha hun zindan-e-gham mein hamdam kisi ke gesu-o-chashm-o-rukhsar-o-lab ki rangin hikayaten hain na jaane chhalkae jam kitne na jaane kitne subu uchhaale magar meri tishnagi ki ab bhi teri nazar se shikayaten hain main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-rawan nahin bijliyan liye hun jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki riwayaten hain main raat ki god mein sitare nahin sharare bikherta hun sahar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hun baghawaten hain ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki dawari hai labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surkh aayaten hain