libas tan pe salamat hain hath khali hain hum ek mulk-e-khuda-dad ke sawali hain na hum mein aql-o-farasat na hikmat-o-tadbir magar hai zoam ki jamiyyat-e-misali hain munafiqat ne lahu tan mein itna garmaya ki guftugu mein riya-kariyan saja li hain khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab riwayaten hi gulistan ki phunk dali hain hamare dil hain ab aamaj-gah-e-hirs-o-hawas ki hum ne sinon mein tarikiyan uga li hain nashemanon ko ujada kuchh is tarah jaise ki fakhtaen darakhton se udne wali hain kisi gharib apahij faqir ki 'mohsin' kisi amir ne baisakhiyan chura li hain