tumhaare hijr mein rahta hai hum ko gham miyan-sahib khuda jaane jiyenge ya marenge hum miyan-sahib agar bosa na dena tha kaha hota nahin deta tum itni baat se hote ho kya barham miyan-sahib khata kuchh hum ne ki ya ghair hai shayad tumhein mane sabab kya hai ki tum aate ho ab kuchh kam miyan-sahib agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon mein hamein bhi jaanta hai khub ek aalam miyan-sahib tumhaare ishq se 'taban' hua hai shahar mein ruswa tum us ke haal se ab tak nahin mahram miyan-sahib