ye jo tanhai mili aankh mein dharne ke liye is mein ek dasht bhi hai mere guzarne ke liye jama karti hai mujhe raat bahut mushkil se subh ko ghar se nikalte hi bikharne ke liye panw se lipti mili sari ki sari ye zamin ye falak pura mila aankh mein dharne ke liye aur phir karna pada gosht ko nakhun se juda ye zaruri tha kisi zakhm ko bharne ke liye thi wo ek tez hawa uncha mujhe le aai ab zamin tang si lagti hai utarne ke liye baat kaisi bhi ho pal bhar ki nadamat ke siwa kharch aata hai bhala kitna mukarne ke liye aur phir aisa hua samne mere 'shahin' jhut ke panw nikal aae thaharne ke liye