tumhaare husn ke jalwe baham nahin hain miyan nahin hain ab wo tumhaare karam nahin hain miyan rah-e-adam ke muqabil nahin majal-e-wajud sitam to ye hai ki hum hain adam nahin hain miyan ye mante hain ki qatra hain ek pani ka magar wajud ke dariya mein zam nahin hain miyan chale bhi jaenge kahe ki jaldiyan hain tumhein abhi ruko abhi hum taza-dam nahin hain miyan hamein na dhao ki mushkil se hum khade hue hain sitam-gazida to hain khud sitam nahin hain miyan hazar bar isi zindagi se guzre hain tumhaare khizr se kam-umr hum nahin hain miyan yahan koi kabhi wapas palat nahin sakta yahan kisi ke bhi ulte qadam nahin hain miyan harim-e-dil mein koi la-sharik hai ki nahin magar ye tai hai wo pahle sanam nahin hain miyan ab is jahan mein hamara agar nahin hai khuda khuda ke hum bhi khuda ki qasam nahin hai miyan ye mal-o-daulat-e-duniya ye rishta-o-paiwand ye rozgar ke gham hain ye gham nahin hain miyan