ujlat ko ikhtiyar na kar intizar kar khud par junun sawar na kar intizar kar ye iztirar zof-e-junun ki dalil hai yun khud ko be-qarar na kar intizar kar mana ki shahr-e-dil ki fasilon mein chhed hain qaem abhi hisar na kar intizar kar beta ye umr tab talab katne ki hai is kam-sini mein pyar na kar intizar kar mumkin hai shaikh-e-jaan ki tajalli fareb ho duniya-o-din nisar na kar intizar kar honge zarur khatm ye dardon ke silsile dariya-e-sabr par na kar intizar kar razm-e-wafa mein sah ke dikha tir-e-tanz ko tegh-e-zaban se war na kar intizar kar kah kah ke bar bar judai ki baat ko tu aur paedar na kar intizar kar dasht-e-junun abhi hai ghubar-e-hawas mein yun shutur be-mahaar na kar intizar kar 'azad' ho gae hain asiran-e-rasti ab dil ka eatibar na kar intizar kar