tumhaare husn ko taswir-e-baam kar denge ghazal pe aae to matla mein kaam kar denge mukhalifin ka sab intizam kar denge na mane log to wo qatl-e-am kar denge hamare samne mat kar ghamand hukumat ka abhi zara mein tujhe be-maqam kar denge badhao tez qadam manzilen bulati hain ye rahbar hain ye raste mein sham kar denge hum aur kya nai pidhi ko den wirasat mein jo dil mein zakhm hain bachchon ke nam kar denge sharab pite hi gham aur bhi ubhar aae chale the dard ko tahlil-e-jam kar denge 'niyaz' likh ke hum us ki mukhalifat mein ghazal qalam ko qabil-e-sad-ehtiram kar denge