waqar apne buzurgon ka zara bhi kam nahin karte kabhi hum zalimon ke samne sar kham nahin karte tawazo ke liye kanton ki in ko pal rakha hai safar mein hum musafir aablon ka gham nahin karte hum ahl-e-zarf khushiyon mein bhi qabu khud pe rakhte hain dukhi ho kar bhi dukh se aastinen nam nahin karte hamare lafz zakhmon ke liye bante to hain marham magar phir bhi masihai ka dawa hum nahin karte nazar rakhte hain mustaqbil ki jaanib hum nazar wale kabhi guzre zamanon ke liye matam nahin karte falak walon ki jaanib un ki sari mehrbani hai gharibon par tawajjoh qibla-e-alam nahin karte kitabon se bhare baston ne kuchh aisa dabaya hai 'niyaz' is daur ke bachche bahut udham nahin karte