tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae namaziyon ne tujh abru ko dekh masjid mein ba-samt-e-qibla sujud-o-qayam bhul gae ye waza kya hai ki hote nahin ho dast-basar abhi se apnon ka lena salam bhul gae gae the zoam mein apne par us ko dekhte hi jo dil ne hum se kahe the payam bhul gae teri taraf hui surat-garan-e-chin ki nigah qalam ko hath se rakh apna kaam bhul gae butan-e-charb-zaban sun ke khubi-e-guftar adab mein dab gae husn-e-kalam bhul gae teri ai sarw-e-rawan dekh kar anokhi chaal jo khush-khiram the apna khiram bhul gae teri ye zulf-e-girah-gir dekh kar sayyaad shikar aap hue said o dam bhul gae bada ghazab hai ki 'hatim' ko tum na pahchana wahi qadim tumhaara ghulam bhul gae