raat bahut sharab pi raat bahut padhi namaz ek wuzu mein ho gai mujh se kai kai namaz tum to azan de ke yar jaane kahan chale gae masjid-e-jism kya batae kaise padhi gai namaz mere baghair ho na pai koi namaz-e-zindagi hogi magar mere baghair meri wo aakhiri namaz main bhi bahut nashe mein tha nashe mein tha imam bhi us ne padhai jaane kya main ne bhi kya padhi namaz but-kada tha ki mai-kada saqi tha but ki tha khuda subh raha na kuchh bhi yaad raat bahut padhi namaz kaun sunaega mujhe meri azan ki azan kaun padhaega mujhe meri namaz ki namaz ye bhi koi maraz hai kya chal diye phir namaz ko padh ke to aae the huzur aap abhi abhi namaz jaise ki ek hi ghazal hoti hai sari umr mein waise hi sari umr mein hoti hai ek hi namaz