tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena main hijr-e-sahra mein khak udaunga dekh lena mera ye dawa hai muddaton tak main ban ke aansu tumhaari aankhon mein jhilmilaunga dekh lena wo sari ghazlen jo bas tumhaare liye likhi thin wo ab main har shakhs ko sunaunga dekh lena ye tum jo mujh se zara si baaton pe ruthte ho main sari duniya se ruth jaunga dekh lena tumhaari sohbat mein itna khush hun ki hans raha hun tumhaari furqat mein khun bahaunga dekh lena wo ek samundar udasiyon ka jo ruh mein hai main us samundar mein dub jaunga dekh lena tumhaari chaukhat pe jaan de kar amar rahunga tumhaari nabzon mein thartharaunga dekh lena wo khat tumhaare jo jaan se bhi aziz-tar hain main ek ek kar ke sab jalaunga dekh lena ek us ka gham hi mera muqaddar koi hai 'nasir' abhi to main kitne gham uthaunga dekh lena