har lamha nam-dida rahne ki aadat le dubi ranjida rahne ki aadat ab apna chehra begana lagta hai hum ko thi sanjida rahne ki aadat aakhir hum ko be-zari tak le aai har shai par girwida rahne ki aadat rafta rafta uryani tak aa pahunche jin ko thi poshida rahne ki aadat dikh jate hain yun hi kuchh rangin manzar achchhi hai khwabida rahne ki aadat hum hami hain sidhi-sadi baaton ke aur us ko pechida rahne ki aadat aakhir-kar waraq ke chithde kar degi har mausam bosida rahne ki aadat