tumhaare nam ka sikka uchhaal sakta hun tumhein saliqe se main dekh-bhaal sakta hun abhi to sirf bigada hai teri 'adat ko main tujh ko khud mein abhi aur dhaal sakta hun jo teri zat se mujh ko mile hain ai jaanan main un ghamon ko kaleje mein pal sakta hun mere khuda ki khudai agar nawaz de to samundaron mein bhi rasta nikal sakta hun main apne 'ahd ka jugnu hun dekhna ek din bade badon ko main hairat mein dal sakta hun agar mile jo gham-e-rozgar se fursat to main bhi zehn ka dariya khangal sakta hun padegi dhup jo tum par to abr ban kar ke tumhaare sar se main suraj ko tal sakta hun