tumhaare paikar se phutne wali raushni meri rah mein hai ye fasla is liye gawara ki ek haqiqat nigah mein hai fasil-e-gham gir gai to kis se lipat ke roenge shahr-e-yaran ye soch kar jhum utha hun yaro ki gham khud apni panah mein hai main zindagi taj ke aa raha hun isi liye muskura raha hun zara batao ki kis liye ab kaji tumhaari kulah mein hai tumhaare baghon se dur viran regzaron mein gul khile hain shafaq ufuq ke hisar mein hai shaguftagi shahrah mein hai nadi nadi be-karan khamoshi shajar shajar sogwar sae ye raat bimar ho gai hai ki mubtala phir gunah mein hai udas yaadon ne bab-e-afkar par kai bar dastaken din magar qalam hai ki gul-fishan bint-e-shab ki aaram-gah mein hai koi qalandar hai koi darwesh koi wahshi hai koi 'rahi' har ek shorida-sar barae-sahar teri khanqah mein hai