sahabo manzil-e-jaanan ki taraf jaana mat aur jaana to kahani koi dohrana mat gul khila dega mahakte hue chehron ka tilism shahar-e-aina dil-e-zar ko dikhlana mat mujh ko chaha hai to bakhsho meri chahat ko dawam ban ke rah jaana dhali raat ka afsana mat wasl ki chah mein rukna na kisi jism ke pas daulat-e-hijr ko saudaiyo thukrana mat sar-burida si guzar jaana shahidon ki tarah titliyo dil ke dabistan mein thahar jaana mat ulfaten sab ko mayassar nahin hotin pyare tishna lamhon ki mulaqat se uktana mat maqtal-e-ishq na ab kucha-e-qatil 'rahi' shahr-e-be-khwab mein jate hue ghabrana mat