tumhaare sae se ukta gaya hun main apni dhup wapas chahta hun kaho kuchh to zaban se baat kya hai main kya phir se akela ho gaya hun magar ye sab mujhe kahna nahin tha na jaane kyon main ye sab kah raha hun sabab kuchh bhi nahin afsurdagi ka main bas khush rahte rahte thak gaya hun gila karta nahin ab mausamon se main in pedon ke jaisa ho gaya hun