tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhadak raha hai wo ek patthar na jaane kitne dilon ka markaz bana hua hai ye chand se bhi hasin-tar hai jo chand jaisa chamak raha hai firaq ki shab mein aasman par tumhaara chehra tanga hua hai dil-e-shikasta ke hauslon ne har ek manzil ko sar kiya hai tumhaare dar tak bhi aan pahunche par is se aage bhi rasta hai sadak pe baithe hue qalandar ke sar pade hain sawal kitne zamana us se jo puchhta hai wo us ne mujh ko bata diya hai tumhaari mahfil mein aane wale unhi mohabbat ke dushmanon ne tumhaara mera jo waqia tha use fasana bana rakha hai khulus-e-yaran ki qadr lekin khulus-e-yaran ka faeda kya main in dilason ka kya karunga ki dard mera bahut bada hai tumhaari yaadon ke chadhte dariya ko khushk-sali se kya talluq tumhaari yaadon ka chadhta dariya har ek mausam mein bah raha hai