dobara hone lage manzaron mein manzar gum kahan hai tu ki hai maujud gum mayassar gum ajal-girafta hain hum aa idhar rudali aa jo nauhagar the hamare hue wo yaksar gum na jal-pari hi wo aai na baadban khula aur apne-ap mein dekha gaya samundar gum main tere dhyan ke daman ko tham kar nikla wagarna dekha gaya khizr gum sikandar gum ye kaun le gaya pani hamari jhilon se parinde dhund rahe hain kahan hai kinjhar gum