tumhaari aur meri kaj-adaiyan hi rahin rahe jo pas to baham ladaiyan hi rahin zi-bas-ki karte rahe be-kason pe tum bedad sada gali mein tumhaari dohaiyan hi rahin hui na saz meri us ki sohbat ek shab hae idhar se ijz udhar se rukhaiyan hi rahin daregh yar se bichhde to aise hum bichhde ki ta-ba-roz-e-qayamat judaiyan hi rahin ab us ke milne ka kya lutf 'mushafi' baham na wo suluk na wo aashnaiyan hi rahin