mujh sa betab howe jab koi be-qarari ko jaane tab koi han khuda maghfirat kare us ko sabr marhum tha ajab koi jaan de go masih par us se baat kahte hain tere lab koi baad mere hi ho gaya sunsan sone paya tha warna kab koi us ke kuche mein hashr the mujh tak aah-o-nala kare na ab koi ek gham mein hun main hi aalam mein yun to shadan hai aur sab koi na-samajh yun khafa bhi hota hai mujh se mukhlis se be-sabab koi aur mahzun bhi hum sune the wale 'mir' sa ho sake hai kab koi ki talaffuz tarab ka sun ke kahe shakhs hoga kahin tarab koi