tumhaari furqat mein meri aankhon se khun ke aansu tapak rahe hain siphar-e-ulfat ke hain sitare ki sham-e-gham mein chamak rahe hain ajib hai soz-o-saz-e-ulfat tarab-faza hai gudaz-e-ulfat ye dil mein shole bhadak rahe hain ki lala o gul mahak rahe hain bahaar hai ya sharab-e-rangin nashat-afroz kaif-agin gulon ke saghar chhalak rahe hain gulon pe bulbul chahak rahe hain jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain magar 'asar' hai khamosh o hairan hawas gum chaak daman labon pe aaen nazar pareshan to rukh pe aansu tapak rahe hain