kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue wo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue parinde aae to gumbad pe baith jaenge nahin shajar ki zarurat mazar hote hue hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke bich ki shak bhi dil mein rahe e'tibar hote hue mere wajud se dhaga nikal gaya hai dost main be-shumar hua hun shumar hote hue dubo raha hai mujhe dubne ka khauf ab tak bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue wo qaid-khana ghanimat tha mujh se be-ghar ko ye zehn hi mein na aaya farar hote hue