tumhaari khushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha wo adh-khuli khidkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana idhar shanasai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha gulab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaton ke jahan barasti hain wahshaten ab kabhi wo rasta hi dusra tha kabhi na kahta tha dil hamara ki aansuon ko likhen sitara judaiyon ki kasak se pahle ye istiara hi dusra tha udas lafzon ke raste mein ye raushni ki lakir kab thi mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha