tumhaari lan-tarani ke karishme dekhe-bhaale hain chalo ab samne aa jao hum bhi aankh wale hain na kyunkar rashk-e-dushman se khalish ho khar-e-hasrat ki ye wo kanta hai jis se panw mein kya dil mein chhaale hain ye sadma jite ji dil se hamare ja nahin sakta unhen wo bhule baithe hain jo un par marne wale hain hamari zindagi se tang hota hai abas koi gham-e-ulfat salamat hai to kai din jine wale hain 'amir' o 'dagh' tak ye imtiyaz o farq tha 'ahsan' kahan ab lucknow wale kahan ab dilli wale hain