mile ghairon se mujh ko ranj o gham yun bhi hai aur yun bhi wafa-dushman jafa-ju ka sitam yun bhi hai aur yun bhi kahin wamiq kahin majnun raqam yun bhi hai aur yun bhi hamare nam par chalta qalam yun bhi hai aur yun bhi shab-e-wada wo aa jaen na aaen mujh ko bulwa len inayat yun bhi hai aur yun bhi karam yun bhi hai aur yun bhi udu likkhe mujhe nama tumhaari mohr us ka khat jafa yun bhi hai aur yun bhi sitam yun bhi hai aur yun bhi na khud aaen na bulwaen shikayat kyun na likh bhejun inayat ki nazar mujh par karam yun bhi hai aur yun bhi ye masjid hai ye mai-khana tajjub is par aata hai janab-e-shaikh ka naqsh-e-qadam yun bhi hai aur yun bhi tujhe nawwab bhi kahte hain shair bhi samajhte hain zamane mein tera 'sael' bharam yun bhi hai aur yun bhi