tumhaari mahfil se ja raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna ai mere yaro lo main chala hun mujhe duaon mein yaad rakhna mohabbaton ka main rasta hun mujhe duaon mein yaad rakhna jo tum na dekho main dekhta hun mujhe duaon mein yaad rakhna rah-e-wafa mein fana hua par kisi ke aage jhuka nahin jo wafaon ka main wo qafila hun mujhe duaon mein yaad rakhna mujhe yaqin hai ye mere hote zamana sara tyag denge main apne yaron ka hausla hun mujhe duaon mein yaad rakhna na manzilon ki khabar hai mujh ko na raston ka pata hai phir bhi main apne ghar se to chal pada hun mujhe duaon mein yaad rakhna main thak ke sae mein jab hun baitha to sare sae lage hain chalne main bad-nasibi ki intiha hun mujhe duaon mein yaad rakhna mujhe khuda ne basaraton ki hadon se zyaada basarten din main band aankhon se dekhta hun mujhe duaon mein yaad rakhna ghamon mein mere khushi chhupi hai khushi mein meri chhupe hue gham ajab ladai main lad raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna mohabbaton ke sarab jhele rafaqaton ke azab jhele kisi ki yaadon mein ro raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna nahin hai jis ka hal ab to koi 'nadim' bas ek siwa tumhaare main ek aisa hi masala hun mujhe duaon mein yaad rakhna 'nadim' chahat ye kam na hogi khuda karega ki phir milenge ye jate jate main kah raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna