tumhaari phunk se kya farq paDne wala hai

tumhaari phunk se kya farq padne wala hai
ye shama wo hai jise aandhiyon ne pala hai

gham-e-hayat ne us par bhi bojh dala hai
ki jis ne hosh bhi apna nahin sanbhaala hai

uda raha hai wahi meri muflisi ka mazaq
ki jis ne sikkon mein iman bech dala hai

hamare sabr ko tum buzdili ka nam na do
isi khamoshi mein poshida ek jawala hai

tumhein ghurur hai taqat pe zar pe kasrat pe
hamein ye naz ki hamrah haq-taala hai

alawa is ke koi aur rasta hi nahin
bahut samajh ke hi shoalon mein hath dala hai

hazar sazish-e-paiham ke bawajud 'ejaz'
jahan mein haqq-o-sadaqat ka bol-baala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close