tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain to har harim mein gesu sanwarne lagte hain har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki bakhiya-gari faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai to 'faiz' dil mein sitare utarne lagte hain