tumhaari yaad mein jite tumhaara dam bharte ye kya ki umr ganwa di hai naukri karte na ja raqib ki mahfil mein raat ko tanha ye dekh panw pe hum tere hath hain rakhte kuchh is liye bhi use dukh mein meri yaad aai charagh sham se pahle jala nahin karte pata lagao khazana kahan hai dafn ki main qile mein pahunch to jaunga marte marte wo kya ladenge hamare huquq ki khatir jo log kasa-e-darwesh tak nahin bharte hamari aankh se aansu bhi gir rahe honge ki jin dinon mein darakhton se pat hain jhadte agar tu hum se nigahen na pherta hamdam to hum bhi ishq kisi se na dusra karte bahisht chhod ke duniya ko fauqiyat dega rawana hona hai jis ne charagh ke bujhte