tumhaari yaad mere dil mein jab kabhi aai guman hua ki andhere mein raushni aai jahan-e-dil mein usi din se inqalab aaya mizaj-e-husn mein jis din se barhami aai jo tum gae to mujhe zulmaton ne gher liya na aaftab hi nikla na chandni aai na multafit hue teri nazar ke mare hue sanwar sanwar ke kai bar zindagi aai chaman mein chaar taraf zulmaton ke dere the jala hamara nasheman to raushni aai mere fasana-e-gham par meri tabahi par wo khush rahen jinhen be-sakhta hansi aai ajab muamma hai 'musa' tazad-e-alam-e-ishq zamana rone laga aur mujhe hansi aai