tadap ai dil ki phir tere tadapne ka maqam aaya muqaddar mera ban kar rah gai hai tishnagi meri na saqi ki nazar utthi na mujh tak daur-e-jam aaya shab-e-furqat junun-e-arzu lamhat-e-tanhai dil-e-nakaam hi in markon mein mere kaam aaya hua jis tarah bhi main ne guzara roz-e-furqat ko wo aalam kya kahun ai ham-nashin jab waqt-e-sham aaya mere dil ne diya dars-e-haqiqat ahl-e-danish ko ye diwana to tha lekin khirad-mandon ke kaam aaya na jaana un ki mahfil mein badi tauhin thi un ki musalsal un ki jaanib se salam aaya payam aaya