tumhaari yaad tari ho rahi hai badi hi yaadgari ho rahi hai tumhein to laut kar aana nahin hai mujhe to intizari ho rahi hai mere andar koi lad mar raha hai badi takhrib-kari ho rahi hai tere kuche mein to sazish hui thi wahan kyun aah-o-zari ho rahi hai tere andar kahan sabza ugega khizan mein kasht-kari ho rahi hai mujhi pe dal de sara khasara tujhe kyun sharmsari ho rahi hai ye duniya ki mohabbat aur ye duniya tumhaari thi tumhaari ho rahi hai dar-e-aflak se kya jhankta hai zamin pe mara-mari ho rahi hai zamin par ek mulk aisa hai jis mein ghazab ki din-dari ho rahi hai