dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein jazba marne ka abhi zinda hai parwanon mein kitna pur-haul hai mahaul shab-e-furqat ka khun bhi khushk hua jata hai shiryanon mein kaam aaya na gala phadta ai shaikh tera nazar aati hain wahi raunaqen mai-khanon mein sitam-e-taza pe yun shukr-e-sitam karta hun jaise ek aur izafa hua ehsanon mein ai 'wafa' ahl-e-zaban ki hai inayat ye bhi ki shumar aaj hamara hai zaban-danon mein