tumhaari yaad to lipti hai pure ghar ke manzar se dariche se zamin se baam se diwar se dar se mujhe to kucha-e-mahbub ka patthar bhi pyara hai nagin se lal se almas se nilam se gauhar se muqaddar ki shab-e-zulmat kabhi raushan nahin hoti diye se mah se qindil se jugnu se akhtar se tumhaari aankh ki gahraiyon ka kya taqabul ho nadi se jhil se dariya se jharne se samundar se yazidon ko khabar hai karbala wale nahin darte sinan se tir se talwar se barchhi se khanjar se karen hum sai jitni bhi kahan mumkin hai bach pana zaifi se qaza se qabr se barzakh se mahshar se tumhaari did ki tishna-nigahon ko hai kya nisbat subu se tur se chilman se paimane se kausar se ghazal ki shairi ka wasf hai sab se judagana ada se fikr se uslub se jiddat se tewar se