tu bhi kar ghaur is kahani par jo likhi ja rahi hai pani par ye zamin zar ugaegi ek din rakh yaqin apni kalba-rani par us ki be-mehwari pe ghaur na kar rahm kha us ki be-zabani par garche mushkil talash thi us ki ghar tera mil gaya nishani par un se mani kashid kar apne naqsh ubhre hain jo bhi pani par qaem 'anwar-sadid' ne rakkha irtikaz apni zindagani par