tumhaari zat ka pahle guman koi nahin tha hamara kun se pahle raaz-dan koi nahin tha badi khush-fahmiyan thin sath hain ahbab lekin jo pichhe mud ke dekha to wahan koi nahin tha thikana mil gaya hum ko tumhaare dil mein aakhir ki is se qabl to apna makan koi nahin tha mujhe aawargi ne ja ke chhoda us jagah par musalsal barf-bari thi dhuan koi nahin tha