tumhaari zulf ke sae mein raat thahri hai ki rang-o-nur liye kaenat thahri hai na ab junun ki tamanna na hai khirad ki talab ye kis maqam pe aa kar hayat thahri hai na puchh kaise guzari hai zindagi hum ne qadam qadam pe alamnak raat thahri hai jahan mein jab bhi nazar ko kahin sukun na mila ummid-gah-e-nazar teri zat thahri hai bandhe hain pet pe patthar magar ye shan teri jahan bhi tu ne kaha kaenat thahri hai tere tufail mein ye bhi jahan ne dekha hai kai baras ke liye ek raat thahri hai na jaane kaun si hum se khata hui 'akhtar' hamare qatl ki har samt baat thahri hai