tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi khuda! sila de dua ka, mohabbaton ke khuda khuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi main apna chehra kahan dhundhta phirunga ab ki main ne teri jabin apna aaina ki thi hamein tabah to hona tha apni apni jagah! tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi