tumhein gila hi sahi hum tamasha karte hain magar ye log bhi kya kam tamasha karte hain dikhai dete nahin awwalan mere darwesh kahin milen to ba-raqsam tamasha karte hain ye khas bhid hai marhum baadshahon ki yahan sikandar-e-azam tamasha karte hain sharik-e-kar-e-ibaadat nahin rahe ki ye log darun-e-majlis-e-matam tamasha karte hain bas ek panw thirakta hai raat-din mujh mein chahaar-su kai aalam tamasha karte hain khula hai aaj bhi us khanqah-e-ishq ka dar malang aaj bhi paiham tamasha karte hain tuyur dekhne aate hain meri ek jhalak hazar bargad-o-shisham tamasha karte hain ye shahr majma-e-khali se gar nahin hai khush to aao mil ke azizam tamasha karte hain kuchh aise log hain mere bhi milne wale log jo bar-janaza-o-chihlum tamasha karte hain