isi liye to nahin katti raat aadmi ki khuda ki zat se mushkil hai zat aadmi ki nae khayal ki baqi kahin jagah na rahe wasia itni na ho kaenat aadmi ki khuda ka bhi koi shayad suragh mil jae samajh li jae agar nafsiyat aadmi ki khuda ne beach mein aisa fasad barpa kiya adhuri rah gai duniya se baat aadmi ki alamiya sirf yahi hai yahi rahega bhi khuda ka din magar diniyat aadmi ki khuda khud aisi jagah jaan-bujh kar gaya hai pahunch sake na jahan koi baat aadmi ki hum aur kuchh bhi rahen hain purane waqton mein ugal rahi hai zamin baqiyat aadmi ki