tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-e'tibar baaten yaqin na aaega hum ko hargiz banao go tum hazar baaten nahin jo manzur tum ko milna to kyun nahin saf saf kahte samajh mein aati nahin hamare karo na tum pechdar baaten uthi hai kali ghata falak par hai saqi-e-mah-wash baghal mein bahak bahak kar hain kya maze se bana rahe baada-khwar baaten huin hain jis din se chaar aankhen tumhaari ai yar 'mashriqi' se yahi tamanna hai baith kar tum suno hamari do-chaar baaten hai aai mushkil se wasl ki shab ki jis ki muddat se thi tamanna jo main ne shikwe kiye the us ki karo na tum bar bar baaten ye kya mahal hai ki aaj karte ho shaikh ji zikr-e-zohd-o-taqwa yahi hai wajib ki hon gul-o-mul ki waqt-e-fasl-e-bahaar baaten jo aaj aae ho mere ghar par to hai ye zikr-e-raqib kaisa na kijiye 'mashriqi' se sahab ki hain ye sab nagawar baaten