yun to na tere jism mein hain zinhaar hath dene ke ai karim magar hain hazar hath angdaiyon mein phailte hain bar bar hath shisha ki samt badhte hain be-ikhtiyar hath dube hain tark-e-sai se afsos to ye hai sahil tha hath bhar pe lagate jo chaar hath aati hai jab nasim to kahti hai mauj-e-bahr yun aabru samet agar hon hazar hath darpai hain mere qatl ke ahbab aur main khush hun ki mere khun mein rangte hain yar hath daman-kashan chali hai badan se nikal ke ruh khinchte hain phailte hain jo yun bar bar hath mitta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah patthar se sar ko phod ki zanu pe mar hath saqi sambhaalna ki hai labrez jam-e-mai laghzish hai mere panw mein aur rasha-dar hath mutrib se puchh masala-e-jabr-o-ikhtiyar kya tal sam pe uthte hain be-ikhtiyar hath main aur hun alaeq-e-duniya ke dam mein mera na ek hath na us ke hazar hath ai 'nazm' wasl mein bhi raha tu na chain se dil ko hua qarar to hai be-qarar hath