tumhein tumhaare tariqe se marne ke liye ye dil diya tumhein dil se utarne ke liye tumhin ne chhod diya sath jab musibat mein kise talash karun ab pukarne ke liye wafa ki rah mein sab kuchh luta diya main ne bacha hi kya hai mere pas haarne ke liye na jaane kitni mashaqqat ke sath rahta hun ai zindagi teri zulfen sanwarne ke liye gham-e-firaq mein dil ko jala liya main ne tumhaari yaad mein har shab guzarne ke liye ye aur baat ki main muskuraata rahta hun ghamon ki dhup se khud ko nikhaarne ke liye chhupa ke lae hain kuchh dost aastinon mein hamare sine mein khanjar utarne ke liye hamesha rakhte hain hum khud ko ba-wazu 'raunaq' watan pe apne dil-o-jaan ko warne ke liye