ye mahal aur ye minar kahan rukti hai gham ki barsat mein diwar kahan rukti hai jang mein hausla hona bhi zaruri hai bahut kanpte hath mein talwar kahan rukti hai muflisi sabr hi karti hai faqat qismat par ai amiri teri raftar kahan rukti hai hum ne dekha hai azal hi se ye dastur yahan zulm dhati hai to sarkar kahan rukti hai jhut ko sach bhale kitna hi banao lekin ghunghruon ki kabhi jhankar kahan rukti hai ek samundar hi to rakhta hai wafa ki azmat warna dariya mein ye patwar kahan rukti hai mujh ko malum hai 'raunaq' main ghalat hun phir bhi aaine se meri takrar kahan rukti hai