tumhin batao tumhaara hai intizar kise tumhaari yaad satati hai bar bar kise ye kis ki aankhon se barsega abr-e-subh-e-alam shab-e-nashat banaegi gham-gusar kise lahu ka lams to khanjar ke lab ne chus liya dikhae rang-e-tabassum ye ashk-bar kise khilengi kis ki tamannaen sahn-e-gulshan mein nasib aaega wo mausam-e-bahaar kise ye doston ki nawazish hai ai 'asad' warna khutut aae hain is tarah be-shumar kise