KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen

khamosh rah ke zawal-e-sukhan ka gham kiye jaen
sawal ye hai ki yun kitni der hum kiye jaen

ye naqsh-gar ke liye sahal bhi na ho shayad
ki hum se aur bhi is khak par raqam kiye jaen

kai guzishta zamane kai shikasta nujum
jo dastaras mein hain lafzon mein kaise zam kiye jaen

ye goshware zaban ke bahut sambhaal chuke
sau sher kat diye jaen khwab kam kiye jaen

tera khayal bhi aae to kitni der talak
kai ghazal mere dasht-e-dil mein ram kiye jaen

main jaanta hun ye mumkin nahin magar ai dost
main chahta hun ki wo khwab phir baham kiye jaen

hisab dil ka rakhen hum ki dahr ka 'babar'
shumar dagh kiye jaen ya diram kiye jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close