tum ko main jab salam karta hun tab fughan gam gam karta hun ghuncha-o-gul ki khasta-haali ka zikr mein subh-o-sham karta hun be-sutun kat kar khada hun main kohkan jaise kaam karta hun aatish-e-ishq jab jalati hai jal ke main nosh-e-jam karta hun sher hota nahin hai jab 'babar' us ka kuchh ehtimam karta hun