tum ko wafa se kya matlab hai jao apna kaam karo din-bhar bhatke aawara se ab ja kar aaram karo kab roka hai main ne tum ko meri baaten karne se nam agar hota hai tumhaara to mujh ko badnam karo jaane walon ko jaana hai kab aate hain laut ke phir sar phodo yaadon mein un ki ro ke sahar se sham karo kya rakkha hai is ki us ki teri meri karne se khud se milenge baat banegi khud ko na yun dushnam karo ahl-e-khirad se kuchh nahin banta har jaanib kohram macha aisa karo sab zehnon mein apne dil rakhne ka kaam karo